Ek pal sath the ek pal door,
Fir bhi tha hum par mohabbat ka suroor,
Muskurati dhoop vo sard raatein,
Hathon mein hath liye vo pyar bhari baatein.
Nazrein milakar mun fer lena,
Daaman khichkar fir humein ched dena,
Hansi hansi mein yun rula dena,
Ki fir aansun pochkar humein mana lena.
Ladna jhagadna narazgi ke vo manzar,
Bacho si zidd to hamesha se thi unke andar.
Roothkar kuch pal door chale jana,
Khafa hokar humein tanha chod jana,
Pyar se manana unhe samjhana,
Ons ki do boondon se fir unhe pighlana,
Muskurakar unka humein gale lagana,
Fir gaal sehlakar humein pyar se manana,
Bas itna sa hai humara pyar bhara yeh fasaana …
Leave a Reply