Chup chup ke kuch is tarah aate hain vo mehfill mein,
Ki sard raaton mein apni tapish chod jate hain aangan mein,
Ghunghruon ki jhankar is kadar gunj uthi hai,
Ki umar ki talwar bhi haar maan chuki hai.
Labon pe muskan to ankhon mein shararat bhari hai,
Unki nazdikiyan bhawnao mein baha chuki hai,
Ek pal ka sahara jo mil gaya humko,
Ab to jaise hath thamne ki adat si pad gayi hai.
Rooh kyu kampi unki humari nigahein padh kar,
Kabhi to gila kiya hota aahein bhar kar,
Bin puche sawaal kaise samjh jate hain woh,
Shayad dil mein utar ke jhank jate hain woh.
Maine jo mudkar dekha unhe,
Muskurakar nigahon ne kuch kaha unhe,
Dil ne dil se guftgu kuch is tarah kari,
Ki labon pe ayi baat nigahon ne bayan kari.
Leave a Reply